Wednesday, September 8, 2010

Some Most Hindi Sayri




Jo dikhta hai, wo hota nahi hai..
jo hota hai, wo dikhta nahi hai...
nakali chehara saamne aata hai,
asli surat chhupi rehti hai.

Choti Si Bat Pe Log Ruth Jate He,
Hath Unse Anjane Me Chut Jate He,
Kehte He Bada Nazuk He Apnepan Ka Rishta,
Isme Haste Haste Bhi DIL Tut Jata hai...


kuch to majbooriyan rahi hogi
yun koi bewafa nahi hota
aapna dil bhi tattol kar dekho 
faasla bewajah nahi hota,

jee bohot chahta hai sach bole
kya karen hosla nahi hota.




Na pyar, na yaar,
Na mohhabat, na dosti yaro,
Aaj ke ye devdas ki bat mano,
Na chandra-mukhi, na paro,
Bas har ladki ko line maro.


Din me teri yaad bahut aati ho,
Khawboo me aake satati ho,
Sochta hu ki tume dinner pe bhulalu,
Kya kahu saali tum bahut khati ho…


Manzil ki taraf badte chalo
Jo dil kahe woh raha chalo
Peche walo ko aage na jane do
Jo aage hai unse aur aage niklo


Na pyar, na yaar,
Na mohhabat, na dosti yaro,
Aaj ke ye devdas ki bat mano,
Na chandra-mukhi, na paro,
Bas har ladki ko line maro.



Begano se dosti ki gunjais nahi hoti,
Mout ke badh koi khavaish nahi hoti.
Saayad koi pyaar bhara dil tuta hoga,
Warna November ke mahine mein barish nahi hoti.
`
Dosti main dooriyan to aati rehti hain
Phir bhi dosti dilo ko mila deti hai
Wo dosti hi kiya jo naraz na ho
Per sachi dosti dosto ko mana leti hai..
`
Tum hasti ho mujhe hasane ke liye
Tum roti ho mujhe rulane ke liye
Tum ek bar rooth kar to dekho
Mar jaoun ga tumhein manane ke liye…
`
Is kadar humari chahat ka imtihaan mat lijiye,
Kyu ho khafa ye bayan to kijiye,
Kar dijiye maaf agar ho gayi hai koi khata,
Yu yaad na kar ke saza to na dijiye…
`
Humse koi galti ho jaye to maf karna
Yaad na kar paaye to maaf karna
Dil se to hum apko bhulenge nahi
Ye dil hi ruk jaye to maaf karna…
`
Jo bhi mila woh ham se khafa mila
dekho dosti ka kya sila mila
umar bhar rahi faqat wafa ki talash
par har shaks mujh ko bewafa mila..


Kabi laga k wo hame sata rahe h
dusre pal laga k wo karib aa rahe h
wo to palako k Aasuo ki tarah pata hi nhi lagta
sath de rahe h ya chhod k ja rahe hai,

Baate karke rula na dena..
chup rehke saza na dena..
na de sake khushi toh thodi khushi he sahi bus 1vaada karo
ki zindgi me hume kabhi bhula na dena... 

Ishq vale aankhon ki baat samajte h,
sapne me mil jaye to mulakat samjte h,
rote to aasman bhi h pyar k liye,
par log usse barshaat samajte h.

Unki ek nazar ko hum taraste rahenge
ye aansu har pal baraste rahenge
kabhi bitaye the kuch pal unke saath
bas yahi soch kar hum haste rahenge.

Jab Bhi Karib Aata Hu Btane K Liye,
Zindgi Dur Rakhti Hai Stane K Liye
Mehfilo Ki Shan Na Samjna Mujhe
Me To Hasta Hu Gam Chhupane K Liye.

Falak me apni jannat ke sitare nahi,
Hum apke hain par ap humare nahi,
Chhoti si naav lekar us samandar me utar gaye,
Jis samandar me door-2 tak kinare nahi.

umeedo par kabhi bharosa na karna
jo bure ho lamhe usse socha na karna
kami mehsus ho jiski uska khyal mat karna
aap khud mai khaas ho ye humesha yad rkhna.

Mohabat sabko mil jaye jaruri to nhi.
Woh b hume chahe jaruri to nhi.
Kuch log bahut yad aate hai.
Hum bhi unki yaad ban jaye jaruri to nahi.

Milke bichdana dastoor hai zindgi ka,
Ek yahi kissa mashhur h zindgi ka.
Beete huye pal kabhi laut kar nhi aate,
Yahi sabse bada kasur h zindgi ka.

Kabhi hosla bhi azmaa lena chahiye,
Bure waqt main muskura lena cHahiye,
Jab saat din main bhi khujali na mite,
to 8ve din naha lena chahiye.

Kyo har bar mousam ki tarah badal jate ho.
kyo har din hamara dil dukhate ho.
ye baat sunkar hamari ruh kaanp jati hai
ki aap bartan dhone ke sabun se nahate ho.

Utha kar rifel jab jeep par sawar hote,
bandh kar safa jab bana taiyyar hote,
dekhti he duniya chat par chadkar,
kehti he kash hum bhi sindhi santan hote

Jane kyu itna yaad aate ho aap,
Jane kyu dil ko itna lubhate ho aap,
Aap sa pyara dost na milega kabhi,
Kya isi liye itna bhav khate ho aap.

Tera dukh hum seh ne sakte,
bhari mehfil me kush keh ne sakte,
hamare girte aansu pakad ke dekh,
wo bhi kehte hai 'YAAR' hum tere bin reh nahi sakte.

Tum kya jano bewakuf dost kya hote hai,
Tum kya jano Pagal dost kya hote hai,
Kyoki tumhare dost to intelligent hai saali Kismat to hmari khrab hai.

Aapka SMS humesha khaas hota hai,
wo hamari dosti ka raaz hota hai,
hum bhale hi turant SMS na karein,
lekin fir bhi agle SMS ka intezaar hota hai.

Dil Se Teri Yaad Ko Juda To Nhi Kia
Rakha Jo Tujhe Yaad Bura To Nhi Kia
Hum Se Log Hain Naraz Kis Liye
Hum Ne Kabhi Kisi Ko Khafa To nahi kia.

Dost ka pyar kisi dua se kam nhi hota.
Wo chahe door b ho gum nhi hata.
Pyar me aksar dosti kam ho jati hai,
par dosti me pyar kabhi kam nhi hota.

Har dhadkan me 1 raaz hota hai,
har baat btane ka 1 andaz hota hai,
jab tak thokar na lage bewfayi ki:
har kisi ko apne pyar pe NAAZ hota hai..

Ho chuki raat bahut ab so bhi jao.
Jo hai dil ke karib uske khyalo me kho bhi jao.
Kar raha hai koi intzar apka.
Khwabo me hi sahi unse mil to aao.

Ho nahi sakta ki mujhko apki yaad na aye,
bhulkar bhi bhulne ka ahsas na aye,
aap bhulo to apki marji,
hum bhule to agli saans na aye.

Sub Dost Bewafa Ho Gye
Hum Apne Aap Se Khafa Ho Gye
Roz Ak Sms To Kar Diya KaroJalim
Varna Duniya Wale Samjhenge Hum Dono Dost Juda Ho Gye..

Zamee K Hr zarre ko aftab Kr denge.
Gulshan K Hr phool ko gulab Kr denge.
Hr pal intezar karoge Hamare SMS ka.
Aap ki adat Hum itni kharab Kr denge...

Kuch is tarha s wo mohabat ko nibha dete h,
hr din dil p ek jkham laga dete h,
yad karte nhi yad dilane pr b,
aur bhulne ka hum pr ilzam laga dete h.

Kuch Rishte Uparwala Banata hai,
Kuch Rishte Log banate hain,
Par kuch Log bina kisi Rishte ke hi Rishte nibhate hain,
Shayad Wahi dost Kehelate Hain.

Khusboo me ehssas hota hai,.
DOSTI ka rista khas hota hai,
Har baat zuban se kehna mumkin nehi...
Iss liye DOSTI ka dusra naam"VISWASH" hota hai..

Khamosh Chehre Pr Hajaro Pehre Hote He
Hansti Hui Ankho Me Jkham Gehre Hote He,
Jinse Ruthna Acha Lagta He
Unse Dil k Rishte Bahut Khash Hote He..

Kismat par apni aitbar kisko hai,
Mil jaye khushi inkaar kisko hai,
Kuch majboorian hain mere dost,
Warna Doston ki judai se pyaar kisko hai.

Khuda ne mujhse kaha,"Bande DOST na bna
hamesha tu DHOKHA payega".
Maine kaha "aye khuda, tu msg padhnewale se mil to sahi,
tu v Dhokhe se DOST ban Jayega !

Jab Tutne lage Hosle to bas ye yad rakna,
Bina Mehnat k Hasil Takhte-Taj nhi hote,
Dhund lete hai Andhero me Manzil apni,
Qki Jugnu kabi Roshni K Mohtaj nhi Hote.

Jarurat na thi hame kuch batane ki.
nazar lag gayi mere pyar ko is jamane ki .
kabra se nikle dono mere haath ye kehte hue
tammana reh gai unhe gle lagane ki

Na to yadon ko yaad Rakhte hain.
Na hi sapno ko sath Rakhte hain
Hum to bas unko sms karte hain
jo humko dil ke pass Rakhte hain.

Jo sub dete he wo hum nahi denge.
Pyar jub bhi denge kam nahi denge.
Yakin na ho to aazma lena mere dost,
zindgi me kbhi tumhe gum nahi denge

Zara si bat dertak rulati rhi
Khushi me b ankhe ansu bhati rhi
Koi mil k kho gaya to koi khoke mil gya
Zindagi humko bas aise hi aazmati rhi. 

Kuch log dosto ko rula dete hai,
Dosti kitni anmol hai bhoola dete hai,
Dosti nibhana to koi gulaab se sikhe,
Jo khud toot kar Do dil ko mila dete hai


maine chaha hai jise wo lakho me ek hai,
jise jana hai maine wo dil ke bhi nek hai,
uski diwani to sari dunia hai,
lekin meri to dunia hi wo ek hai...

ye meri jindagi mujhse dga na kar,
mai jinda rahu unse bichhad kar ye dua na kar,
koe or dekhe unko to dard hota hai es dil me,
ye hwa ab tu bhu use chhua na kar.......

aapke duniya me koe gam na ho,
aapki shohrat or khushiya kabhi kam na ho,
ye dost bhagwan aapko aisi Item de
jo DABANG ke kisi munee se kam na ho..

Aanshu na hote to aankhe etni khubsurat na hoti,
Gam na hote to khushi ki koe kimat na hoti,
agar mil jata chahne se hi sab kuchh,
to khuda ki es duniya me koe jaroorat nahi hoti...

es rishte ko yu hi bnaye rakhna,
dil me yado ki chirag jlaye rakhna.

bahut pyara rha safar 2010 ka,
apna sath 2011 me bhi bnaye rakhna..


Ek Alag Si Pehchan Ban ne Ki Aadat Hai Ha
Zakhm H? Jitna Gehra Utna Muskurane Ki Aadat Hai
Sab Kùch Luta Dete Hai D?osti Me
Q K D?sti Nibhane Ki Adat Hai Hume

Wo Dil,Dil Nahin Hota, Wo Pyar,Pyar Nahin Hota,
Jo Chahat Mein Bekarar Nahin Hota
Thoda Tadapna.Thoda Machalna,
Tou Hai Mohabbat Ki Ada,
Jo In Raahon Se Na Guzre,
Wo Yaar,Yaar Nahin Hota.

Yeh Dil Ka Zakhm Tumne Diya Hai To Koi Baat Nahin,
Yeh Jigar Ka Dard Agar Tumne Diya Hai To Koi Baat Nahin,
Majaal Kiski Thi Ki Kehta Mujhe Deewana,
Magar Yeh Tumne Kaha Hai To Koi Baat Nahin……

Kaun Kaheta Hai Tujhko Bhula Rakha Hai,
Tere Gulshan Ko Aaj Bhi Mehaka Rakha Hai,
Aakar Dhekh Ja Teri Yaadon Ke Zakham,
Phir Bhi Dhekh Teri Tasveer Ko
Aaj Bhi Seene Se Laga Rakha Hai

Kisi Ko Apni Khubiyo Ka Ehsas Nahi Hota,
Aap Jaise Dosto Ka Milna Itfak Nahi Hota,
Achha Kuchh Kiya Hoga Hamne,
Varna Aap Ho Sath Hamare,
Ye Visvas Nahi Hota


Aye dil kinare ko kinara na samajh,
Aye dil sahare ko sahara na samajh,
Barish aane par kinare toot jate hain,
Musibat aane par sahare chooth jate hain…

zakhm itna gehra hain izhaar kya kare
hum khud nishana ban gaye vaar kya kare
so gaye hum magar khuli rahi aankhen
is se zyada unka intzaar kya kare

Nadaani mein hum kisse apna samajh baethe,
Jo dikhaaya uss Bewafa ne Sapna, hum haqeeqat samajh baethe
Dekho aaj chod diya hamein, Usne ek Gair ke liye,
Jisse hum apna Humsafar samajh baethe

Hathon ki lakiron main kismat hoti hai,
Milna aur bhool jana logo ki fitrat hoti hai,
Bikharta to har koi dard mai,
Magar gum bhulana ensaan ki jarurat hoti hai..

Mohabbat me maine kya khuch nahi luta diya,
Unko pasand thi roshni,
Aur maine khud ko hi jala diya.

Har zakhm kisi thokar ki meharbani hai,
Meri zindagi ek-kissa-ek-kahani hai,
Mita dete is dard ko dil se,
Par ye dard bhi to kisi ki akhri nishani hai…

Ek hi dua hai meri khuda se
kisika dil dukhe meri wajah se
khuda karde kuchh inayat aisy mujh pr
ki khushiya hi mile sabko meri wajha se……

Bhula kar hame wo khush reh payenge
sath mein nahi to mere jane k baad muskuraye ge
Dua Hai Khuda se ki unhe kabhi dard na dena,
Hum to seh gaye par wo toot jayenge!


Andhiya gam ki chalengi to bikhar jaunga.
main to dariya hun samundar me utar jaunga..
mujhe shooli pe chadhane ki jaroorat kya hai.
mere haathon se kalam chhen lo mar jaaunga !!!


Aa jaye kisi din tu aisa bhi nahi lagta..
Lakin wo tera wada jhota bhi nahi lagta..
Milta hai sakoon dil ko us yaar ke koche mai..
Har roz magar jana acha nahi lagta..
Dekha hai tujhe jab se bechain bohut hai dil..
Kehne ko koi tujh se rishta bhi nahi lagta
Kya faisla karun us ke bare mai ab..
Wo gair nahi lekin Apna Bhi Nahi Lagta..!!


Khuda ne mujhse kaha ishq na kar
Tu diwana ho jayega.
Maine kaha,ae khuda tu msg padne
Wale se mil..
Tujhe bhi ishq ho jayega!

Paani se pyaas na bujhi,
Toh mehkhane ki taraf chal pada,
Socha ke shikayat karu teri khuda se,
Lekin khuda bhi tera chahanewala nikla!

Chehre pe ashko ki lakeer si ban gayi
Jo na chaaha tha vo takdeer si ban gayi
Humne to chalaayi thi ret pe ungli
Gaur se dekha to unki tasveer si ban gayi..

Gamo me hasne wale ko rulaya nahin jaata.
Lehron se paani ko hataya nahin jaata.
Banane wale ban jaate hain apne,
Kisiko kehkar apna banaya nahin jaata..

Aankhon ki zuban wo samajh nahi paate,
Honth magar kuch keh nahi paate,
Apni bebasi kis tarah kahen,
Koi hai jiske bina hum reh nahi paate.

Na jaane kyon abhi ek aansu aankh se jhalka,
Dil ko shayad aapki yaad aayi,
Chahat hai itni aap se milne ki,
Hanste hue bhi aankhen bhar aayi..!

Dil ki baat dil mein na rahe
Aankhon ke khwaab aankhon mein na rahe
Dil ki baat isi liye keh di aap ko...
Ke galti se aap kisi aur ke dil mein na rahe!!

Mohabbat ki shama jalaakar to dekho
Zara dil ki duniya sajaakar to dekho
Tumhe ho naa jaye mohabbat to kehnaa
Zara humse nazrein mila kar to dekho...

Uban hi sirf ek zaria nahi,
Joaaap shabdon ko samajh paayenge.
Kabhi aankhon mein jhaank kar dekhiye,
Hazaro alfaz khud b khud bikhar jayenge.

dushmano me bhi dost mala karte hai
kanto me bhi phool khila karte hai
hame kaanta samajh kar bhula na dena
kante hi phoolo ki hifazat kiya karte hai


Muskura do jara khuda ke vaste
sama-e-mahefil mai rosni kam hai
tum hamare nahi too kya gum hai
hum tumhare to hai ye kya kam hai?
yeh khamosi ka razz hum jante hain
yun chup rahene ka andaz hum jante hain
yakeen nehi ata to apne dil se pucho
app se bahetar app ko hum jante hain
Raat gumanam hoti hai,
Din kisi ke naam hota hai,
Hum jite hai kuch is tarah,
Har lamha aapake naam hota hai.
Chale aao hum tumhe yaad karte hai,
ye woh gunaah hai jo hum baar-baar karte hai,
jala ke dil me hasraton ke chirag,
apke aane ka intezaar karte hai.
Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha
Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha
Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed
Usi Waqt Is Tofaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha
Darte Hain Aag Se, Kahin Hath Na Jal Jaye…..
Darte Hain Waqt se, Kahin Der Na Ho Jaye…
Darte Hain Maut se, Kahin Hum Bichadd Na Jayen…
Darte Hain Aapse, Kahin Pyaar Na Ho Jaye………..
Yaad karte hain aapko tanhai mein,
Dil dooba hai ghamon ki gherai mein,
Humein mat dhoondo duniya ki bheed main,
Hum milenge aapko apki parchai main.
Suraj se kaho chamakana chod de,
sitaro se kaho timtimana chode do,
Tum milne nahi aasakte ho to,
apni yado se kaho ki yun satana chod de.
Nadiyon se kinare chhut jate hai,
Asman se tare tut jate hai,
zindagi ki rah me aksar aisa hota hai,
jinhe ham chhate hai,wahi hum se ruth jate hai.
Jab bhi Aapko Phool dena chaha,
Kaanton ka Guldasta thama dala,
Par Aapke PYAR ka kya kehna,
Aapne Kaanton ko bhi Phool bana dala
Khila phool bagiya meheki
Yeh to duniyaka hai dastoor
Agar bhanware mandarane lage
To ismein phoolka kya kasoor?
Phoolko kya pata bhanwareki gunjanka
Woh to tha apnihi dhunmein choor
Agar bhanwareko lagta hai bura
To chala jaye woh us phool se door
Kal hum yaad tumhe aayenge
Dil me ek kasak chhod jayenge
Chah kar bhi pal lauta na sakenge
Dil ki kasak ko mita na sakenge.
Yaad tumhari jab aayegi
Ankh ashkon se bhar jayegi
Kahne ko to jindagi gujar jayegi
Par tumhari kami hamesha rulayegi

7 comments:

  1. Chalo raat guzri hai,
    Ab sawera raste pahadi haryali ka raaj,
    Kal-kal karte ghharne nadyon ki gaaj,
    Who hum safar who hum kadam hum raaz,
    Na raste ki khabar Na manzil ki,
    Bas chalet rahna shana bashana,
    Chalo raat guzri hai.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete

Bharat Ka Jaykaar Likhoonga

Kalam utha hi li hai ab to, bharat ki jaykar likhoonga! Hundred crore hindustaniyon ka mai to hahakar likhoonga! Rote bilakhte bharat ka ...